Saturday, June 20, 2009

ManishChand:RAAHI


Me dvat marg ka raahi hu,
Kabhi edhar chalu,kabhi udhar chalu,
Kabhi-kabhi didak chalu,
Me dvat marg ka raahi hu.

Man me jine ki aas hai,
Pane ki chaah hai,
Kuch esase atirikt nahi aash hai,
Man me bhara ye dvandh,
Fir bhi man hai umang,
Dekhkar duniya ke rangin chitra,
Man me basant hoti hai,
Fir kya?
Man me jine ki aas hai,
Kuch paane ki chaah hai,
Man me yah dvandh ,
Me dvat marg ka raahi hu.
Man me murat basakar,
Kuch achha lagata hai,
Per ghar ki yaad aati hai ,
to subah ho jati hai,
Mere bhi hai kayi sapane,
Jo kabhi honge apne !
Me dvat marg ka raahi hu,
Kabhi edhar chalu,
Kabhi udhar chalu.

ManishChand:Ek Musafir Raah Gujar

Ei musafir raah gujar,
Tu kartavya marg se na digana,
Yah sunahara mauka hai,
Tu kuch kar gujarane se na digana
Ei musafir raah gujar.

Es saundarya saadh, ritikal ki bela me na ulajh
Es ki chhata nirali hai,
Gokul se bhi nyari hai,
Manhiman me tarsat hai,
Akhiya darshan ko pharakat hai,
Mil jaye kahi,
Ghir jaye vahi,yah man ki vivashata hai.